Music and Muslim ?

Posted by Hafiz Hafeez Sheikhupura on 8:32 PM

Music aur Musalman ? SMS

Music Aur Musalman Msg#1
"Musalman" ka Matlab hy "ALLAH aur USS k Rasool SallALLAHu Alaihy wa Sallam ka Fermanberdar".Lihaza jab hum Khud ko Musalman kehte hen to humien Ye dekhna Chahye k "Kya hum ALLAH aur USS k Rasool SallALLAHu Alaihy wa Sallam ki Fermanberdari ker rahe hen"?Lekin humare Yahan Muamla Ulta hy, Hum log "Fermanberdari" ki bajae "Na-Fermani" karte hue ALLAH ki Haraam kerda Cheezon ko Halal Samajh bethe hen.In Haraam Cheezon me "Music (Gaana Baaja)" bhi Ek hy.InShaaALLAH Agle Msgs me apko Quran-o-Hadees k Zariye Music ki Gumrahi se Aagah kia jaega.......
Msg#2 ;Rasoolullah SallALLAHu Alaihy wa Sallam ne fermaya:"Meri Ummat me kuch log Aise honge jo Zina, Reshmi Libas, Sharab aur Gaanay Bajanay k Aalaat (Musical instruments) ko Halal Qarar denge."(Sahi BukhariKitab ul AshrabaHadees#5590,Sunan Kubra Lil BeheqiJild#3Page#272)>> Humare Muashray me Aise log Mojud hen jo Music ko Jayiz kehte hen, Ye log TV Channels per Kasrat se Aatay hen.In logon ne Zina aur Reshmi Libas ko Aam karne k liye "Co-Education aur Fashion" ko Farog diya hy.Aur Sharab ko "Energy Drink" k Naam se Aam kia hy.

Msg#3 >Pichle Msg me Hadees Aur Uski Tafseel Guzer Chuki hy k Kis tarha Logon ne ALLAH ki Haraam kerda Cheezon (Music, Zina, Sharab aur Reshmi Libas) ko Halal Samjha Aur Unhen Khubsurat Labels diye.Aur Sub se Barra Almiya to Ye hy k Logon ne Music se Wabasta Afraad ko "Super Star/Ideal" Qarar de diya. Inna Lillahi wa inna Ilaihy Rajiuun..!>> Jab k Rasoolullah SallALLAHu Alaihy wa Sallam ne Music se Wabasta Afraad ko "Ahmaq aur Faajir" Qarar diya hy.(TirmiziKitab ul JanayizHadees#1005,1017,Sunan Kubra Lil BeheqiJild#4Page#69)
Msg#4 : Music Gumrahi Aur Aakhirat K Azaab Ka Zariya Hy]ALLAH Subhanahu wa Ta'ala ne fermaya"Aur bohat se log Aise bhi hen jo 'Be-huda Baaten' (Gaanay Baajay) Khareedtay hen Taa k Be-ilmi k Sath logon ko ALLAH ki Raah se Behka den Aur Iska Mazaaq banaaen, Yehi wo log hen jin k liye Ruswa karne wala Azaab hy."(Sura e LuqmanAayat#06)>> Syedna Abdullah bin Masood RaziALLAHu Anho ne 3 baar Qasam Utha ker Fermaya"Is Aayat me Be-huda Baaton ka Matlab Gaana Bajana hy."(Tafseer e TibriJild#21Page#39Tafseer Sura e Luqman Aayat#06)>> Ye baat Roz-e-Roshan ki tarha Ayaan hy k Musalman humesha "Music aur Naach Gaano" me Mashgool hone ki Waja se hi Deen (Quran-o-Hadees) se Duur rahe hen.Continue..

Msg#5 : Gaana Shaitani Aawaz Hy }ALLAH Ta'ala ne 'Shaitan' se fermaya:"(Mere) in (Bandon) me se jo bhi Teri Pairwi karega, to Tum Sub ki Saza Jahannum hy, Jo k Pura Pura Badla hy. Aur (Mere) in (Bandon) me se Tu jise bhi Apni Aawaz (Gaana aur Music) k Zariye Behka Sake to Behka lay."(Sura e Bani IsraaelAayaat#63,64)>> Sahaba-e-Karaam aur Tabaeen (RizwanULLAHi Alaihym Ajmaeen) farmatay hen k"Is Aayat me Shaitani Aawaz ka Matlab 'Gaana Bajana' hy."(Tafseer Ibn e KaseerJild#3Page#50Tafseer Sura e Bani Israael Aayat#64)

Msg#6 Music Sun'na Aur Bajana Mushrikeen Ki Alamat Hy]ALLAH Ta'ala ne 'Mushrikeen' se fermaya:"Kya Tum is Hadees (Yani Quran-o-Sunnat) se Tajjub karte ho? Aur (Deen ki Baaten Sun ker) Hans rahe ho? Aur Rotay Nahi? Bul k Tum log Tamasha (Gaana Bajana) ker rahe ho."(Sura e NajamAayaat#59-61)> Syedna Ibn e Abbas RaziALLAHu Anho farmate hen k"Is Aayat me Tamashay ka Matlab 'Gaana Bajana' hy."(Tafseer e TibriJild#22Page#559)> Aj bhi Aise log hen jo Quran-o-Sunnat Parhne Aur Sun'ne ki bajae "Gaanay-o-Qawali" Gaatay Aur Sunte hen.

Msg#7 Her Qisam Ka Music Haraam Hy]Syedna Abdullah bin Abbas RaziALLAHu Anhuma farmate hen k"Duff Haraam hy, Gaanay Bajanay k Aalaat (Musical instruments) Haraam hen, Tabla-o-Dhol Haraam hy, Bansuri Haraam hy."(Sunan Kubra Lil BeheqiJild#10Page#222)>> Lekin is Hurmat k Bawajud Apne aap ko Musalman kehne wale log Barray Shoq se Musical instruments Istemal karte Aur Music Suntay hen. Yahan tak k bohat se log in Haraam Cheezon ko Deen k Naam per istemal karte hen, jiska Suboot aap ko Murawwaja Nohay, Qawali, Aur Naat me Mil jaega.

Msg#8 *Shadi Biyah Me Music Aur Gaana Bajana Laanti Amal Hy* Rasoolullah SallALLAHu Alaihy wa Sallam ne fermaya:"2 Aawazen Aisi hen jin per Dunya aur Aakhirat me (ALLAH ki) Lanat hoti hy,1>Khushi k Waqt Gaanay Baajay ki AawazAur2>Musibat k Waqt Cheekhne Chillanay (Nohay) ki Aawaz."(Musnad ul BazzaarJild#1Page#377Hadees#795)> ALLAH Samajhne aur Amal karne ki Tofiq de. Aameen!

Msg#9 Music Aur Naach Gaana Dunyawi Museebaton Aur Azaab Ka Zariya Hy]Rasoolullah SallALLAHu Alaihy wa Sallam ne fermaya:"Is Ummat per Ye Aafaten Aaengi,Zameen me Dhansna,Shaklon ka Masakh hona,Aur Patharon ki Barish."Ek Sahabi RaziALLAHu Anho ne Arz kia, Ae ALLAH k Rasool SallALLAHu Alaihy wa Sallam! Ye kub hoga?Aap SallALLAHu Alaihy wa Sallam ne fermaya"Jab Gaanay wali Auraton Aur Aalaat-e-Mosiqi (Musical instruments) ka istemal hoga Aur Sharab Noshi hogi."(Sunan TirmiziKitab ul FitanHadees#2213)

Msg#10 Music Se Nafrat Karna Aur Gaanay Bajanay K Aalaat Ko Torr Dena Hum Per Farz Hy ]Rasoolullah SallALLAHu Alaihy wa Sallam ne fermaya:"Be Shak ALLAH Azza wa jal ne Mujhe Tamam jahanon k liye Rehmat bana ker Bheja, Aur Mujhe Hukum diya k Main Mosiqi (Music) k Tamam Aalaat (instruments) Torr doon."(Musnad e Abu Daud TiyalisiJild#1Page#154Hadees#1134)

Msg#11 Music Ki Aawaz Sun Ker Kya Karna Chahye? ]Imam Naafay (Rahimahullah) farmatay hen k"Syedna Abdullah bin Umer RaziALLAHu Anhuma ne Bansuri (Music) ki Aawaz Suni to Apne Kaano me Ungliyan rakh li Aur Us Rastay se hut ker Mujh se Pucha:Ae Naafay! Kya Ab kuch Sunayi de raha hy?Main ne Arz kia:Nahi.To Unho ne Apne Kaano se Ungliyan Nikali Aur fermaya:"Main Ek baar Rasoolullah SallALLAHu Alaihy wa Sallam k Sath tha to Unho ne (Music ki) Aawaz Sun ker isi tarha kia tha (Jese Main ne kia)."(Abu DaudKitab ul AdabH#4924-4926)

Msg#12 Music Munafiqat Ki Jerr Hy }Syedna Abdullah bin Masood RaziALLAHu Anho farmatay hen k" Gaana Bajana Dil me Munafiqat Paida karta hy."(Sunan Kubra Lil BeheqiJild#10Page#223)>> Yehi waja hy k jab Humari Awaam Ye Haraam aur Shaitani Kaam karti hy (Yani Music Sunti Aur Gungunati hy) to Unko Ye tak Hosh Nahi rehta k Un Gaano aur Qawaliyon me Kufriya Kalimat bhi Shamil hen...


Msg#13 Gaana Aur Qawali Gaanay Walon Aur Sureelay Logon Se Ek Ahum Sawal ]Imam Ibn-e-Qayyim (Rahimahullah) farmate hen k"Ae (Music k) Fitnay me Mubtala insan, Kabhi Tu ne Gaur kia k ALLAH Ta'ala se Ataa kerda Hissay (Yani Achi Aawaz) ko Tu Shaitan ko Baich Chuka hy!Tu Sara-Ser Nuqsan ka Soda ker Chuka hy.Kabhi Tu ne Socha k Teri Ye Sureeli Aawaz Quran ki Tilawat k Waqt kiyo Paida Nahi hoti?Aur Achay Jazbaat Aayaat aur Suraton ki Tilawat k Waqt kahan Chale jate hen?"(Igasatu Lil HiffanJild#1Page#225)

Msg#14 Apni Zuban Ko Gaano Aur Qawaliyo Se Pak Kijiye, Aur Quran Ki Tilawat Se Apni Zuban Ko Aarasta Kijiye }Rasoolullah SallALLAHu Alaihy wa Sallam ne fermaya:" Jo Shakhs Achi Aawaz se Quran Nahi parhta wo Hum Musalmano k Tareeqay per Nahi hy."(Sahi BukhariKitab ut TauheedHadees#7527)>> Humien Quran ko Achi Aawaz se Parhnay ki Koshish karni Chahye..

Msg#15 Music Rooh Ki Ghiza Hy Ya Saza..? ]Music k Fitnay me Mubtala log kehte hen k Music (Gaana, Qawali, Dance, Wagera) se humien Sukoon aur itmenan milta hy.Jab k ALLAH Ta'ala ne fermaya:1> "Jo Log Eman Laey hen Un k Dil ALLAH k Ziker (Yani Quran-o-Hadees ko Parhnay aur Amal karne) se Itmenan hasil karte hen."(Sura e Ra'adAayat#28)2> "Aur jo koi bhi ALLAH k Ziker (Yani Quran-o-Hadees ko Parhnay aur Amal karne) se Gafil hojae to HUM Us per Ek Shaitan Muqarar ker dete hen, to wohi Uska Sathi hojata hy. Aur wo (Shaitan) Unko (ALLAH k) Rastay se Roktay hen, Aur Ye Samajhte hen k hum Seedhe Rastay per hen."(Sura e ZukhrufAayaat#36-37)>> Imam Ibn-e-Qayyim (Rahimahullah) farmate hen k"Shaitan ne Apni Chaal k Zariye Batil Paraston k liye Gaana Bajanay ko Achay Amal k Taur per Paish kia hy."(Igasatu Lil HiffanJild#1Page#224)....

Msg#16 Music Be-Hayai Aur Zina Ka Manter Hy ]Imam Ibn-e-Qayyim (Rahimahullah) farmate hen k"Gaana Bajana Dil k Raazon ko Zahir karne wala Aur Sharafat ko Khatam karne wala hy. Ye Aahista Aahista Khayalat ki Dunya ki taraf Le jata hy, Galat Khuahishat, Ahmeqana Pun, Be-Hayai, Kum-Aqli aur Bewaqufi Paida karta hy.Ye Zina aur Hum-Jins Parasti ka Manter hy, iski Waja se Bud-kaar Aashiq Apne Mashooq se Apni baat Manwana Chahta hy."(Igasatu Lil HiffanJild#1Page#225,249)>> Aaj No-Jawano me Be-Hayai ki Waja Music, Film aur Drama hy..

Msg#17 ***Islam ne 1400 Saal Pehle insan ko jis Cheez se Roka, Us Cheez ko Aaj Science bhi insan k Liye Nuqsan deh Qarar de rahi hy.>> American Scientist "Greeson aur Williams" ne Apne Tajarubat se Ye Sabit kia hy k "Music Be-Hayai aur Zina ka Zariya hy."In donu ne 7th aur 10th Class k Talba k Ek Group ko 1 Ghantay tak Music Sunaya aur Musical Videos dikhayi, Aur Dusray Group ko Music se Duur rakha.Is Tajarubay k baad Music Sunnay aur Dekhne wale Group ka Rujhan Zina k Haq me tha.(Journal of Medical Association 1980,Youth Society 1986)...

Msg#18 Music Bagawat, Tashad'dud Aur Khudkushi Ka Sabab Hy }Mahir-e-Nafsiyat k Mutabiq Music ki 2 Barri Qismen "Classical aur Pop Music" No-Jawano ko Bagawat aur Tashad'dud per Aamada karti hy, Aur insan ki Zindagi me Mayoosi Paida karti hy.>> American Medical Researcher "Paul King" k Mutabiq No-Jawano me Khas Qisam k Harmones hote hen jin se No-Jawan Tashad'dud per Uter Aatay hen, Aur Music ki Waja se Dimag ka wohi Hissa Ziada Mutasir hota hy.(Postgraduate Medicine 1980)>> 1990 me American State Tenisi ki National Education Association ki Tehqeeq k Mutabiq "America me Her Saal 6000 No-Jawan Music k Buray Asraat se Mutasir ho ker Khudkushi karte hen."(L. A Time 14 October 1990)..

Last Msg#19 Al-Hamdulillah is Msg Series me Quran, Hadees, Aasar-e-Sahaba, Aqwal-e-Muhaddiseen aur Science ki Tehqeqat se Ye Sabit kia gaya k "Music Ek Haraam aur Shaitani Amal hy."Lihaza her Musalman per Farz hy k wo ALLAH se Dartay hue Music ki Tamam iqsaam se Duur rahe. Aur Ager kisi ko Music Suntay ya Gaatay hue Maut Aagayi to wo Qayamat k Din isi Haalat me Uthaya jaega.> ALLAH Ta'ala ne fermaya"Ae Eman walo, ALLAH se Daro jesa k USS se Darnay ka Haq hy, Aur Tumhen Maut Fermanberdari ki Haalat me hi Aani Chahye."(Sura e Aal e ImranAyat#102)...

End......